vāhima ban gayā ḳhayāl ki tū
maiñ huuñ is baat par nihāl ki tū
zindagī mil rahī thī logoñ ko
mere lab par yahī savāl ki tū
ham ki tanhā hī lauT aa.e the
dil ko lekin rahā malāl ki tū
hijr ke lā-zavāl lamhoñ meñ
ek hī mudda.ā visāl ki tū
dasht kī be-karāñ masāfat meñ
sochnā bhī huā muhāl ki tū
saañs hotī hai jab bahāl kahīñ
boltā hai tirā kamāl ki tū
sirf nisbat hai mo'atabar 'āsim'
varna terī kahāñ majāl ki tū
wahima ban gaya KHayal ki tu
main hun is baat par nihaal ki tu
zindagi mil rahi thi logon ko
mere lab par yahi sawal ki tu
hum ki tanha hi lauT aae the
dil ko lekin raha malal ki tu
hijr ke la-zawal lamhon mein
ek hi muddaa visal ki tu
dasht ki be-karan masafat mein
sochna bhi hua muhaal ki tu
sans hoti hai jab bahaal kahin
bolta hai tera kamal ki tu
sirf nisbat hai mo'atabar 'asim'
warna teri kahan majal ki tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.