vāhima kyoñ mujhe ye ḳhaas huā
koī mujh meñ hai bad-havās huā
maiñ use yaad hī nahīñ aatī
bas ye sochā to dil udaas huā
maiñ ne har dam vafā nibhā.ī to
bevafā kyoñ mirā libās huā
vo ġhamoñ kī huī farāvānī
dard bhī vāqif-e-hirās huā
na Thaharnā thā vo nahīñ Thahrā
dil bahut harf-e-iltimās huā
garche nazroñ se bhī rahā ojhal
par 'duā' mere ās-pās huā
wahima kyon mujhe ye KHas hua
koi mujh mein hai bad-hawas hua
main use yaad hi nahin aati
bas ye socha to dil udas hua
main ne har dam wafa nibhai to
bewafa kyon mera libas hua
wo ghamon ki hui farawani
dard bhi waqif-e-hiras hua
na Thaharna tha wo nahin Thahra
dil bahut harf-e-iltimas hua
garche nazron se bhi raha ojhal
par 'dua' mere aas-pas hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.