waiz-e-shahr ke atwar badalne se raha
vā.iz-e-shahr ke atvār badalne se rahā
maiñ kisī shaḳhs kā kirdār badalne se rahā
aap ko honā paḌegā zarā is kā 'aadī
maiñ to ghar ke dar-o-dīvār badalne se rahā
ab safar se to ye behtar hai ki ghar meñ baiThūñ
rāsta qāfila-sālār badalne se rahā
baa'z chīzoñ kā badalnā nahīñ mumkin jaise
aa.ina ā.ina-bardār badalne se rahā
sirf in do pe mirā zor nahīñ chal saktā
sar badalne se yā sarkār badalne se rahā
kitne badle haiñ tire husn ke mausam lekin
bas tirā tālib-e-dīdār badalne se rahā
maiñ ne koshish to bahut kī hai magar 'ḳhālid' jī
kashish-e-dirham-o-dīnār badalne se rahā
waiz-e-shahr ke atwar badalne se raha
main kisi shaKHs ka kirdar badalne se raha
aap ko hona paDega zara is ka 'adi
main to ghar ke dar-o-diwar badalne se raha
ab safar se to ye behtar hai ki ghar mein baiThun
rasta qafila-salar badalne se raha
ba'z chizon ka badalna nahin mumkin jaise
aaina aaina-bardar badalne se raha
sirf in do pe mera zor nahin chal sakta
sar badalne se ya sarkar badalne se raha
kitne badle hain tere husn ke mausam lekin
bas tera talib-e-didar badalne se raha
main ne koshish to bahut ki hai magar 'KHalid' ji
kashish-e-dirham-o-dinar badalne se raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.