waiz-e-shahr KHuda hai mujhe malum na tha
vā.iz-e-shahr ḳhudā hai mujhe mā'lūm na thā
yahī bande kī ḳhatā hai mujhe mā'lūm na thā
ġham-e-daurāñ kā mudāvā na huā par na huā
haath meñ kis ke shifā hai mujhe mā'lūm na thā
naġhma-e-nai bhī na ho bāñg-e-bat-e-mai bhī na ho
ye bhī jiine kī adā hai mujhe mā'lūm na thā
maiñ samajhtā thā jise haikal o mehrāb o kunisht
merā naqsh-e-kaf-e-pā hai mujhe mā'lūm na thā
apne hī saaz kī āvāz pe hairāñ thā maiñ
zaḳhma-e-sāz nayā hai mujhe mā'lūm na thā
jis kī iimā pe kiyā shaiḳh ne bandoñ ko halāk
vahī bandoñ kā ḳhudā hai mujhe mā'lūm na thā
ḳhutba tarġhīb-e-halākat kā ravā hai ai dost
she'r kahne kī sazā hai mujhe mā'lūm na thā
shab-e-hijrāñ kī darāzī se pareshān na thā
ye tirī zulf-e-rasā hai mujhe mā'lūm na thā
vo mujhe mashvara-e-tark-e-vafā dete the
ye mohabbat kī adā hai mujhe mā'lūm na thā
chehra khole nazar aatī thī urūs-e-gul-nār
muñh pe shabnam kī ridā hai mujhe mā'lūm na thā
kufr o īmāñ kī hadeñ kis ne ta'ayyun kī thiiñ
is pe hangāma bapā hai mujhe mā'lūm na thā
yahī mār-e-do-zabāñ merā lahū chaaT gayā
rahnumā ek balā hai mujhe mā'lūm na thā
'ajab andāz se thā koī ġhazal-ḳhvāñ kal raat
'ābid'-e-sho.ala-navā hai mujhe mā'lūm na thā
waiz-e-shahr KHuda hai mujhe ma'lum na tha
yahi bande ki KHata hai mujhe ma'lum na tha
gham-e-dauran ka mudawa na hua par na hua
hath mein kis ke shifa hai mujhe ma'lum na tha
naghma-e-nai bhi na ho bang-e-bat-e-mai bhi na ho
ye bhi jine ki ada hai mujhe ma'lum na tha
main samajhta tha jise haikal o mehrab o kunisht
mera naqsh-e-kaf-e-pa hai mujhe ma'lum na tha
apne hi saz ki aawaz pe hairan tha main
zaKHma-e-saz naya hai mujhe ma'lum na tha
jis ki ima pe kiya shaiKH ne bandon ko halak
wahi bandon ka KHuda hai mujhe ma'lum na tha
KHutba targhib-e-halakat ka rawa hai ai dost
she'r kahne ki saza hai mujhe ma'lum na tha
shab-e-hijran ki daraazi se pareshan na tha
ye teri zulf-e-rasa hai mujhe ma'lum na tha
wo mujhe mashwara-e-tark-e-wafa dete the
ye mohabbat ki ada hai mujhe ma'lum na tha
chehra khole nazar aati thi urus-e-gul-nar
munh pe shabnam ki rida hai mujhe ma'lum na tha
kufr o iman ki haden kis ne ta'ayyun ki thin
is pe hangama bapa hai mujhe ma'lum na tha
yahi mar-e-do-zaban mera lahu chaT gaya
rahnuma ek bala hai mujhe ma'lum na tha
'ajab andaz se tha koi ghazal-KHwan kal raat
'abid'-e-shoala-nawa hai mujhe ma'lum na tha
- Book : Ghazalistaan (Pg. 126)
- Author : Farkhanda Hashmi, Najeeb Rampuri
- Publication : Farid Book Depot ltd, New Delhi (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.