waiz kare hai baat sharab-e-tahur ki
vaa.iz kare hai baat sharāb-e-tahūr kī
andhe ko sūjhtī hai añdhere meñ duur kī
ham aa re bail maar mujhe ke nahīñ murīd
ham ko paḌī hai kyā ki kareñ sair tuur kī
ai gardish-e-hayāt tirā laakh shukriya
miTTī palīd ḳhuub kī chehre ke nuur kī
le ā.eñge ḳharīd ke sayyād kyā nahīñ
bande ko aisī chaah nahīñ hai tuyūr kī
mauqe pe be-ḳhudī bhī na karne de iḳhtiyār
chāhat mirī balā hī kare is shu.ūr kī
yā-rab isī jahān meñ kaT jaa.e chain se
ġhilmān kī hai chaah na ḳhvāhish hai huur kī
har maah chaar murġh hī mil jaa.eñ jo 'nadīm'
rah jaa.e laaj mere sar-e-pur-ġhurūr kī
waiz kare hai baat sharab-e-tahur ki
andhe ko sujhti hai andhere mein dur ki
hum aa re bail mar mujhe ke nahin murid
hum ko paDi hai kya ki karen sair tur ki
ai gardish-e-hayat tera lakh shukriya
miTTi palid KHub ki chehre ke nur ki
le aaenge KHarid ke sayyaad kya nahin
bande ko aisi chah nahin hai tuyur ki
mauqe pe be-KHudi bhi na karne de iKHtiyar
chahat meri bala hi kare is shuur ki
ya-rab isi jahan mein kaT jae chain se
ghilman ki hai chah na KHwahish hai hur ki
har mah chaar murgh hi mil jaen jo 'nadim'
rah jae laj mere sar-e-pur-ghurur ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.