waiz ke pas jaenge hum mai piye hue
waiz ke pas jaenge hum mai piye hue
Meer Mohammad Sultan Aaqil
MORE BYMeer Mohammad Sultan Aaqil
vaa.iz ke paas jā.eñge ham mai piye hue
muddat huī hai tauba se tauba kiye hue
mashq-e-ḳhirām gor-e-ġharībāñ meñ kyā zarūr
mahshar bapā kareñge ye murde jiye hue
ḳhāmosh kyuuñ haiñ shahr-e-ḳhamoshāñ kī sākenīn
goyā dahan haiñ tār-e-nafas se siye hue
nā-āzmūda-kārī-e-husn un kī hai ġhazab
sharmā.e phirte haiñ vo mirā dil liye hue
ye dīdanī hai mai-kada meñ josh-e-be-ḳhudī
aa.e haiñ aaj hazrat-e-vā.iz piye hue
waiz ke pas jaenge hum mai piye hue
muddat hui hai tauba se tauba kiye hue
mashq-e-KHiram gor-e-ghariban mein kya zarur
mahshar bapa karenge ye murde jiye hue
KHamosh kyun hain shahr-e-KHamoshan ki sakenin
goya dahan hain tar-e-nafas se siye hue
na-azmuda-kari-e-husn un ki hai ghazab
sharmae phirte hain wo mera dil liye hue
ye didani hai mai-kada mein josh-e-be-KHudi
aae hain aaj hazrat-e-waiz piye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.