waiz mariz hun main kisi ki nigah ka
vaa.iz marīz huuñ maiñ kisī kī nigāh kā
mujh par asar na hogā tire intibāh kā
tasvīr un ke āriz-e-zebā kī hai sahar
raat ek aks hai mire hāl-e-tabāh kā
un ko kiyā pasand to ḳhud ho gayā pasand
aalam hai mo'tarif mire zauq-e-nigāh kā
nūr-e-mohammad-e-arabī mere dil meñ hai
surma hai merī aañkh meñ yasrib kī raah kā
jin kī jabīñ ne sajda-e-ḳhāk-e-haram kiyā
ūñchā hai sab se gosha unhīñ kī kulāh kā
ai zauq-e-dīd shān-e-shab-e-māhtāb dekh
ā.īna hai ye husn kī jaulān-gāh kā
go mujh ko hasrat-e-karam-e-mustaqil nahīñ
ḳhvāhāñ hai dil magar sitam-e-gāh-gāh kā
waiz mariz hun main kisi ki nigah ka
mujh par asar na hoga tere intibah ka
taswir un ke aariz-e-zeba ki hai sahar
raat ek aks hai mere haal-e-tabah ka
un ko kiya pasand to KHud ho gaya pasand
aalam hai mo'tarif mere zauq-e-nigah ka
nur-e-mohammad-e-arabi mere dil mein hai
surma hai meri aankh mein yasrib ki rah ka
jin ki jabin ne sajda-e-KHak-e-haram kiya
uncha hai sab se gosha unhin ki kulah ka
ai zauq-e-did shan-e-shab-e-mahtab dekh
aaina hai ye husn ki jaulan-gah ka
go mujh ko hasrat-e-karam-e-mustaqil nahin
KHwahan hai dil magar sitam-e-gah-gah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.