waiz piye hue hun KHuda ke liye na chheD
vaa.iz piye hue huuñ ḳhudā ke liye na chheḌ
dhaḌkā miTā huā hai azaab o savāb kā
yā-rab unheñ bahisht meñ jaanā na ho nasīb
jo lutf uThā chuke haiñ shab-e-māhtāb kā
kyā kyā bigaḌ rahe haiñ vo ban ban ke bazm meñ
āshob-e-rozgār hai aalam itaab kā
phir chāhtā hai dil ki vahī tāk-jhāñk ho
phaḌ DhūñDhtā huuñ lutf savāl o javāb kā
zāhid ko bāda-ḳhvārī kā chaskā lagā diyā
ye kaam umr bhar meñ huā hai savāb kā
shoḳhī to ye hai bazm meñ baiThe haiñ is tarah
goyā khiñchā huā hai muraqqa.a hijāb kā
waiz piye hue hun KHuda ke liye na chheD
dhaDka miTa hua hai azab o sawab ka
ya-rab unhen bahisht mein jaana na ho nasib
jo lutf uTha chuke hain shab-e-mahtab ka
kya kya bigaD rahe hain wo ban ban ke bazm mein
aashob-e-rozgar hai aalam itab ka
phir chahta hai dil ki wahi tak-jhank ho
phaD DhunDhta hun lutf sawal o jawab ka
zahid ko baada-KHwari ka chaska laga diya
ye kaam umr bhar mein hua hai sawab ka
shoKHi to ye hai bazm mein baiThe hain is tarah
goya khincha hua hai muraqqa hijab ka
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 227)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.