Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wajibi baat kahin zara kahiye

nayan sukh

wajibi baat kahin zara kahiye

nayan sukh

MORE BYnayan sukh

    vājibī baat kahīñ zarā kahiye

    burī lagtī hai sab ko kyā kahiye

    mujh ko ik ye baḌī hairat hai

    bure ko kis tarah bhalā kahiye

    nekī phal badī lagā hone

    is zamāne kyā gila kahiye

    charḳh-e-zālim ne sab ko Daalā piis

    is ko tahqīq āsiyā kahiye

    aur ahvāl dekhtā huuñ maiñ

    kis ke aage ye mājrā kahiye

    jā-ba-jā chhūTeñ jhuuT ke shīshe

    ye bhī yāroñ ishqalā kahiye

    ammī kahte haiñ ham to haiñ fāzil

    bevaqūfoñ dar khulā kahiye

    apnī karte haiñ aap tā'rīf

    un ke ta.iiñ ko to chūtiyā kahiye

    be-shu.ūrī pe bas-ki haiñ nāzāñ

    kyuuñ na ab un ko sazā kahiye

    shaiḳh-jī ne kiyā hai aaj ḳhizāb

    is ko būḌhe chochalā kahiye

    logoñ ke phoḌtā phire shīshe

    mohtasib ko to masḳharā kahiye

    poch pādar huā bake hai suḳhan

    nāseh ko ḳhvāh-maḳhvāh saḌā kahiye

    apnā sar phoḌtā hai aap raqīb

    shauq se is ko mud-jhaḌā kahiye

    maare ḳhandoñ ke mard-e-ādam ko

    koī pūchhe nahīñ hai kyā kahiye

    DāḌhī milā go ki hai ḳhū-gīr

    par mahādev jaTā kahiye

    jin hurmat pe kuchh nahīñ hai nigāh

    in ko pā-posh talā kahiye

    chhupte phirte haiñ vaqt-e-jañg-o-jadal

    buzdilā un ko barmalā kahiye

    ḳhud-pasandī meñ ġharq hai 'ālam

    'nayan' ko kis ko ab burā kahiye

    wajibi baat kahin zara kahiye

    buri lagti hai sab ko kya kahiye

    mujh ko ek ye baDi si hairat hai

    bure ko kis tarah bhala kahiye

    neki ka phal badi laga hone

    is zamane ka kya gila kahiye

    charKH-e-zalim ne sab ko Dala pis

    is ko tahqiq aasiya kahiye

    aur hi ahwal dekhta hun main

    kis ke aage ye majra kahiye

    ja-ba-ja chhuTen jhuT ke shishe

    ye bhi yaron ka ishqala kahiye

    ammi kahte hain hum to hain fazil

    bewaqufon ka dar khula kahiye

    apni karte hain aap hi ta'rif

    un ke tain ko to chutiya kahiye

    be-shuuri pe bas-ki hain nazan

    kyun na ab un ko na saza kahiye

    shaiKH-ji ne kiya hai aaj KHizab

    is ko buDhe ka chochala kahiye

    logon ke phoDta phire shishe

    mohtasib ko to masKHara kahiye

    poch padar hua bake hai suKHan

    naseh ko KHwah-maKHwah saDa kahiye

    apna sar phoDta hai aap raqib

    shauq se is ko mud-jhaDa kahiye

    mare KHandon ke mard-e-adam ko

    koi puchhe nahin hai kya kahiye

    DaDhi mila ki go ki hai KHu-gir

    par mahadew ki jaTa kahiye

    jin ki hurmat pe kuchh nahin hai nigah

    in ko pa-posh ka tala kahiye

    chhupte phirte hain waqt-e-jang-o-jadal

    buzdila un ko barmala kahiye

    KHud-pasandi mein gharq hai 'alam

    'nayan' ko kis ko ab bura kahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now