wan se ghar aa ke kahan sona tha
vaañ se ghar aa ke kahāñ sonā thā
sub.h tak yaad thī aur ronā thā
jab huī sub.h to bistar se phir uTh
girya-e-ḳhūnī se muñh dhonā thā
dho chuke muñh ko to kisht-e-dil meñ
tuḳhm ġham kā hameñ phir baunā thā
bo chuke tuḳhm to paayā ye samar
ki jigar-Kāvī thī jī khonā thā
jī ke khone ke ho darpai ye kahā
ki nasīboñ meñ yahī honā thā
honā qismat kā kaheñ kyā tā-shām
ham the aur ghar kā bas ik konā thā
kone lag baiThe to 'jur.at' ai vaa.e!
phir vahī raat thī aur ronā thā
wan se ghar aa ke kahan sona tha
subh tak yaad thi aur rona tha
jab hui subh to bistar se phir uTh
girya-e-KHuni se munh dhona tha
dho chuke munh ko to kisht-e-dil mein
tuKHm gham ka hamein phir bauna tha
bo chuke tuKHm to paya ye samar
ki jigar-Kawi thi ji khona tha
ji ke khone ke ho darpai ye kaha
ki nasibon mein yahi hona tha
hona qismat ka kahen kya ta-sham
hum the aur ghar ka bas ek kona tha
kone lag baiThe to 'jurat' ai wae!
phir wahi raat thi aur rona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.