waqai ek udas laDki hai
vāqa.ī ik udaas laḌkī hai
zindagī ik udaas laḌkī hai
koī kāñdhe pe is kā sar rakh le
ro rahī ik udaas laḌkī hai
shahr ke ḳhushnumā mahalle meñ
mar rahī ik udaas laḌkī hai
ab kisī ko ḳhabar nahīñ kaise
jī rahī ik udaas laḌkī hai
tan pe kapḌā nahīñ hai bhūkī bhī
bekasī ik udaas laḌkī hai
boltī hai sabhī ke haq meñ par
ḳhāmushī ik udaas laḌkī hai
koī bhī shai use nahīñ miltī
bandagī ik udaas laḌkī hai
muskurātī naqāb pahne hue
'anjalī' ik udaas laḌkī hai
waqai ek udas laDki hai
zindagi ek udas laDki hai
koi kandhe pe is ka sar rakh le
ro rahi ek udas laDki hai
shahr ke KHushnuma mahalle mein
mar rahi ek udas laDki hai
ab kisi ko KHabar nahin kaise
ji rahi ek udas laDki hai
tan pe kapDa nahin hai bhuki bhi
bekasi ek udas laDki hai
bolti hai sabhi ke haq mein par
KHamushi ek udas laDki hai
koi bhi shai use nahin milti
bandagi ek udas laDki hai
muskuraati naqab pahne hue
'anjali' ek udas laDki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.