waqia mazi ka hai lagti hai jaise kal ki baat
vāqi'a maazī kā hai lagtī hai jaise kal kī baat
kyā batā.ūñ kitnī gahrī thī vo dil kī vārdāt
baa'd marne ke hī shāyad zindagī āsān ho
zindagī meñ dard se mumkin nahīñ hargiz najāt
lag rahā hai bevafā.ī kar rahe ho āj-kal
kuchh ziyāda hī dukhāne lag ga.e ho iltifāt
āsmāñ se ik sitāra TūTne kā ġham nahīñ
TūTte haiñ jab sitāre phailtī hai kā.enāt
ab yahāñ mehr-o-vafā kī koī qīmat hī nahīñ
māl-o-zar ho paas jis ke ab vahī hai bā-sifāt
hashr meñ ḳhāKī badan ko phir se joḌā jā.egā
jism-e-ḳhākī se kahāñ miltī hai bande ko najāt
kuchh hai is kī jeb meñ to kuchh hai us kī jeb meñ
is liye to haiñ baqāyā ġhair-mulkī vājibāt
ik nazar Daalī thī bachpan kī taraf 'shamsa-najam'
yaad aane lag ga.e haiñ 'umr bhar ke vāqi'āt
waqi'a mazi ka hai lagti hai jaise kal ki baat
kya bataun kitni gahri thi wo dil ki wardat
ba'd marne ke hi shayad zindagi aasan ho
zindagi mein dard se mumkin nahin hargiz najat
lag raha hai bewafai kar rahe ho aaj-kal
kuchh ziyaada hi dukhane lag gae ho iltifat
aasman se ek sitara TuTne ka gham nahin
TuTte hain jab sitare phailti hai kaenat
ab yahan mehr-o-wafa ki koi qimat hi nahin
mal-o-zar ho pas jis ke ab wahi hai ba-sifat
hashr mein KHaKi badan ko phir se joDa jaega
jism-e-KHaki se kahan milti hai bande ko najat
kuchh hai is ki jeb mein to kuchh hai us ki jeb mein
is liye to hain baqaya ghair-mulki wajibaat
ek nazar Dali thi bachpan ki taraf 'shamsa-najam'
yaad aane lag gae hain 'umr bhar ke waqi'at
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.