vāqi.a dasht-navardī huā āsāñ mujh tak
bin-bulā.e chalā aatā hai bayābāñ mujh tak
kunj-e-āġhosh-e-junūñ tangī-e-furqat se farār
ik suhūlat se khiñche dāman-e-paimāñ mujh tak
rauzan-e-hijr sukūt-e-shab-e-vahshat meñ khulā
jalva-e-nūr huā nāla-e-mizhgāñ mujh tak
thī jise shohrat-e-asbāb-e-kushāda kī talāsh
aa ke mash.hūr huā be-sar-o-sāmāñ mujh tak
rang-e-ā.īna rag-e-sang se niklā goyā
girya-e-chashm huā girya-e-marjāñ mujh tak
ḳhush-libāsī faqat andoh-e-basārat kā fareb
chal ke aatā hai har ik sāya-e-uryāñ mujh tak
ik diyā roz jalātā hai koī āḳhir-e-shab
ik kiran roz pahuñchtī hai pareshāñ mujh tak
waqia dasht-nawardi hua aasan mujh tak
bin-bulae chala aata hai bayaban mujh tak
kunj-e-aghosh-e-junun tangi-e-furqat se farar
ek suhulat se khinche daman-e-paiman mujh tak
rauzan-e-hijr sukut-e-shab-e-wahshat mein khula
jalwa-e-nur hua nala-e-mizhgan mujh tak
thi jise shohrat-e-asbab-e-kushada ki talash
aa ke mashhur hua be-sar-o-saman mujh tak
rang-e-aina rag-e-sang se nikla goya
girya-e-chashm hua girya-e-marjaan mujh tak
KHush-libasi faqat andoh-e-basarat ka fareb
chal ke aata hai har ek saya-e-uryan mujh tak
ek diya roz jalata hai koi aaKHir-e-shab
ek kiran roz pahunchti hai pareshan mujh tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.