waqia mere na tan aur sar ka hai
vāqi.a mere na tan aur sar kā hai
sāmnā har ruuh ko ḳhanjar kā hai
TuuT jaatā sirf shīsha baat thī
mas.ala to aaj har patthar kā hai
saaz paa.el giit aur ThanDī havā
ḳhvāb āñkhoñ meñ ye har paikar kā hai
ghar meñ rah kar qalb par bār-e-alam
zehn par ik bojh bhī daftar kā hai
duur tak uḌte hue ye bāl-o-par
rāsta shāyad kisī shah-par kā hai
aage aage hai agar tanhā 'zafar'
pīchhe pīchhe shor bhī lashkar kā hai
waqia mere na tan aur sar ka hai
samna har ruh ko KHanjar ka hai
TuT jata sirf shisha baat thi
masala to aaj har patthar ka hai
saz pael git aur ThanDi hawa
KHwab aankhon mein ye har paikar ka hai
ghar mein rah kar qalb par bar-e-alam
zehn par ek bojh bhi daftar ka hai
dur tak uDte hue ye baal-o-par
rasta shayad kisi shah-par ka hai
aage aage hai agar tanha 'zafar'
pichhe pichhe shor bhi lashkar ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.