waqif hain be-KHudi se na apni KHudi se hum
waqif hain be-KHudi se na apni KHudi se hum
Shaikh Hasan Mushkil Afkari
MORE BYShaikh Hasan Mushkil Afkari
vāqif haiñ be-ḳhudī se na apnī ḳhudī se ham
shāyad ki be-ḳhabar haiñ abhī zindagī se ham
baiThe haiñ terī bazm meñ kis sādgī se ham
jaise ki āshnā hī nahīñ haiñ kisī se ham
jo aaj tak huā na kabhī ḳhizr ko nasīb
vo kaam le rahe haiñ abhī gumrahī se ham
ik tere ġham se pyaar hameñ kyā huā ai dost
duniyā kā ġham ḳharīd rahe haiñ ḳhushī se ham
'mushkil' agarche azm kareñ puḳhtagī ke saath
nazm-e-chaman badal ke raheñ aaj hī se ham
waqif hain be-KHudi se na apni KHudi se hum
shayad ki be-KHabar hain abhi zindagi se hum
baiThe hain teri bazm mein kis sadgi se hum
jaise ki aashna hi nahin hain kisi se hum
jo aaj tak hua na kabhi KHizr ko nasib
wo kaam le rahe hain abhi gumrahi se hum
ek tere gham se pyar hamein kya hua ai dost
duniya ka gham KHarid rahe hain KHushi se hum
'mushkil' agarche azm karen puKHtagi ke sath
nazm-e-chaman badal ke rahen aaj hi se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.