waqif nahin hai tu mere haal-e-tabah se
vāqif nahīñ hai tū mire hāl-e-tabāh se
ḳhā.if hai āsmān bhī ab merī aah se
Duubā huā hai shahr añdheroñ meñ aur phir
ummīd-e-raushnī bhī to mujh rū-siyāh se
ab zulmatoñ ne un ko bhī barbād kar diyā
vābasta the jo log yahāñ mehr-o-māh se
ham par khulā huā thā vo jūd-o-saḳhā kā dar
ham hī gurez-pā rahe us bārgāh se
tā-chand dūsroñ ke kahe par kareñ yaqīn
ab dekhnā hai ḳhud ko bhī apnī nigāh se
waqif nahin hai tu mere haal-e-tabah se
KHaif hai aasman bhi ab meri aah se
Duba hua hai shahr andheron mein aur phir
ummid-e-raushni bhi to mujh ru-siyah se
ab zulmaton ne un ko bhi barbaad kar diya
wabasta the jo log yahan mehr-o-mah se
hum par khula hua tha wo jud-o-saKHa ka dar
hum hi gurez-pa rahe us bargah se
ta-chand dusron ke kahe par karen yaqin
ab dekhna hai KHud ko bhi apni nigah se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.