waraftagi-e-ishq na jae to kya karen
vāraftagī-e-ishq na jaa.e to kyā kareñ
terā bhī ab ḳhayāl na aa.e to kyā kareñ
ḳhud sharm-e-ishq dil ko miTā.e to kyā kareñ
un tak nigāh-e-shauq na jaa.e to kyā kareñ
mai-ḳhvāriyāñ gunāh sahī sāqī-e-azal
jab abr jhuum jhuum ke aa.e to kyā kareñ
ye dair vo haram ye kalīsā vo mai-kada
apnī taraf har ek bulā.e to kyā kareñ
mumkin hai har ḳhayāl kā dil se nikālnā
terā ḳhayāl aa ke na jaa.e to kyā kareñ
maanā nigāh-e-shauq rahe ehtiyāt se
har jalva ḳhud nazar meñ samā.e to kyā kareñ
'bāsit' sitam pe shukr-e-sitam chāhiye magar
koī karam se ham ko miTā.e to kyā kareñ
waraftagi-e-ishq na jae to kya karen
tera bhi ab KHayal na aae to kya karen
KHud sharm-e-ishq dil ko miTae to kya karen
un tak nigah-e-shauq na jae to kya karen
mai-KHwariyan gunah sahi saqi-e-azal
jab abr jhum jhum ke aae to kya karen
ye dair wo haram ye kalisa wo mai-kada
apni taraf har ek bulae to kya karen
mumkin hai har KHayal ka dil se nikalna
tera KHayal aa ke na jae to kya karen
mana nigah-e-shauq rahe ehtiyat se
har jalwa KHud nazar mein samae to kya karen
'basit' sitam pe shukr-e-sitam chahiye magar
koi karam se hum ko miTae to kya karen
- Karvan-e-ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.