waraftagi-e-shauq chhupai na ja saki
vāraftagī-e-shauq chhupā.ī na jā sakī
chehre se dil kī baat miTā.ī na jā sakī
āñkhoñ meñ aa ga.iiñ sabhī dil kī kahāniyāñ
sad haif un se aañkh milā.ī na jā sakī
aise havās gum hue kuchh un ke sāmne
kahne kī baat lab pe bhī laa.ī na jā sakī
marne ke ba.ad mere banī bhī to kyā banī
jo zindagī meñ baat banā.ī na jā sakī
mahviyyat-e-jamāl ne baḳhshā ajab 'surūr'
ham se nigāh-e-shauq haTā.ī na jā sakī
waraftagi-e-shauq chhupai na ja saki
chehre se dil ki baat miTai na ja saki
aankhon mein aa gain sabhi dil ki kahaniyan
sad haif un se aankh milai na ja saki
aise hawas gum hue kuchh un ke samne
kahne ki baat lab pe bhi lai na ja saki
marne ke baad mere bani bhi to kya bani
jo zindagi mein baat banai na ja saki
mahwiyyat-e-jamal ne baKHsha ajab 'surur'
hum se nigah-e-shauq haTai na ja saki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.