waraftagi-e-shauq-e-junun darmiyan thi
vāraftagī-e-shauq-e-junūñ darmiyān thī
varna ye dāstāñ bhī koī dāstān thī
ghar se milā huā thā koī ghar to kyā huā
dīvār ik anā kī vo jo darmiyān thī
vo fikr thī ki dhyān thā yā ik ḳhayāl thā
dil ke taḳhayyulāt kī ūñchī uḌaan thī
par bāñdh ke mire mujhe majbūr kar diyā
jab ye zamīn merī mirā āsmān thī
paane kī aarzū kabhī khone kā ranj-o-ġham
ye zindagī nahīñ thī koī imtihān thī
'kāzim' zamīñ ko oḌh ke chup-chāp so ga.e
ik 'umr kī hamāre badan par thakān thī
waraftagi-e-shauq-e-junun darmiyan thi
warna ye dastan bhi koi dastan thi
ghar se mila hua tha koi ghar to kya hua
diwar ek ana ki wo jo darmiyan thi
wo fikr thi ki dhyan tha ya ek KHayal tha
dil ke taKHayyulat ki unchi uDan thi
par bandh ke mere mujhe majbur kar diya
jab ye zamin meri mera aasman thi
pane ki aarzu kabhi khone ka ranj-o-gham
ye zindagi nahin thi koi imtihan thi
'kazim' zamin ko oDh ke chup-chap so gae
ek 'umr ki hamare badan par thakan thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.