waraftagi mein apna nishan bhi nahin uTha
vāraftagī meñ apnā nishāñ bhī nahīñ uThā
yuuñ raakh ham hue ki dhuāñ bhī nahīñ uThā
ġhārat-garoñ ne shahr hī tārāj kar diye
ham se shikast-e-dil kā gumāñ bhī nahīñ uThā
ai sub.h-e-nau fuzūl rahā terā intizār
tujh se to ḳhuftagī kā nishāñ bhī nahīñ uThā
barbād yuuñ hue ki uḌī tak na raakh bhī
yuuñ bujh gayā diyā ki dhuāñ bhī nahīñ uThā
waraftagi mein apna nishan bhi nahin uTha
yun rakh hum hue ki dhuan bhi nahin uTha
ghaarat-garon ne shahr hi taraj kar diye
hum se shikast-e-dil ka guman bhi nahin uTha
ai subh-e-nau fuzul raha tera intizar
tujh se to KHuftagi ka nishan bhi nahin uTha
barbaad yun hue ki uDi tak na rakh bhi
yun bujh gaya diya ki dhuan bhi nahin uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.