warison mein ho chuka jab faisla
vārisoñ meñ ho chukā jab faisla
marne vaale kā janāza tab uThā
hai koī is se bhī baḌh kar sāniha
qatl merā mere hī ghar meñ huā
chand paisoñ kā hameñ lālach na do
taaj ham logoñ kī Thokar meñ rahā
sūrmāoñ meñ ginā jaatā hai vo
jang ke maidāñ meñ jo pīchhe rahā
us ke dar par bhī tahī-kāsa rahe
jo saḳhāvat kā 'alam-bardār thā
ham-ḳhayāl apnā yahāñ koī nahīñ
haañ agar tū hai to haath uupar uThā
thā tumheñ 'kausar' bahut hijrat kā shauq
ye bhī sochā kis qadar ghāTā huā
warison mein ho chuka jab faisla
marne wale ka janaza tab uTha
hai koi is se bhi baDh kar saniha
qatl mera mere hi ghar mein hua
chand paison ka hamein lalach na do
taj hum logon ki Thokar mein raha
surmaon mein gina jata hai wo
jang ke maidan mein jo pichhe raha
us ke dar par bhi tahi-kasa rahe
jo saKHawat ka 'alam-bardar tha
ham-KHayal apna yahan koi nahin
han agar tu hai to hath upar uTha
tha tumhein 'kausar' bahut hijrat ka shauq
ye bhi socha kis qadar ghaTa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.