wasta hai na dawa hai na dua mange hai
vāsta hai na davā hai na duā māñge hai
terā bīmār to āñchal kī havā māñge hai
ġhuncha ġhuncha chaman-e-dahr kā allāh allāh
tere andāz-e-tabassum kī adā māñge hai
chāñd kartā hai falak se tirā dīdār agar
chāñdnī baḌh ke tujhī se to ziyā māñge hai
bijliyāñ sī tire aariz se damak uThtī haiñ
rang kājal bharī āñkhoñ se ghaTā māñge hai
dil-o-jāñ nazr karūñ tujh pe luTā duuñ duniyā
mujh se kyā chiiz in āñkhoñ kī hayā māñge hai
tere sāñsoñ kī mahaktī mile ai kaash fazā
zinda rahne ko ye dil āb-o-havā māñge hai
māñgne vaale hazāroñ haiñ jahāñ meñ yuuñ to
terā dīvāna magar sab se judā māñge hai
kyoñ ye kuchh log mohabbat ko burā kahte haiñ
maiñ to kahtā huuñ mohabbat ko ḳhudā māñge hai
dosh par zulf-e-mo.ambar ko bikhar jaane do
is kī ḳhushbū ko ba-sad-shauq sabā māñge hai
us ke kūche meñ chaleñ ḳhuun bahā deñ 'muḳhtār'
aaj dīvānoñ se vo ḳhūn-e-vafā māñge he
wasta hai na dawa hai na dua mange hai
tera bimar to aanchal ki hawa mange hai
ghuncha ghuncha chaman-e-dahr ka allah allah
tere andaz-e-tabassum ki ada mange hai
chand karta hai falak se tera didar agar
chandni baDh ke tujhi se to ziya mange hai
bijliyan si tere aariz se damak uThti hain
rang kajal bhari aankhon se ghaTa mange hai
dil-o-jaan nazr karun tujh pe luTa dun duniya
mujh se kya chiz in aankhon ki haya mange hai
tere sanson ki mahakti mile ai kash faza
zinda rahne ko ye dil aab-o-hawa mange hai
mangne wale hazaron hain jahan mein yun to
tera diwana magar sab se juda mange hai
kyon ye kuchh log mohabbat ko bura kahte hain
main to kahta hun mohabbat ko KHuda mange hai
dosh par zulf-e-moambar ko bikhar jaane do
is ki KHushbu ko ba-sad-shauq saba mange hai
us ke kuche mein chalen KHun baha den 'muKHtar'
aaj diwanon se wo KHun-e-wafa mange he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.