wasta humse to pahle hi wo kam rakhte hain
vāsta ham se to pahle hī vo kam rakhte haiñ
vo hamīñ haiñ jo mohabbat kā bharam rakhte haiñ
khol deñ bhed hamāre na kisī din āñkheñ
is liye jaan ke ham āñkhoñ ko nam rakhte haiñ
maiñ adā-band nahīñ par ye sunā hai maiñ ne
vo adā ḳhaas hai jo mere sanam rakhte haiñ
bāñTte rahte haiñ muskāneñ ham apnī sab meñ
aur chhupā kar dil-e-hamdard meñ ġham rakhte haiñ
dekh lete haiñ bulā kar unheñ chāheñ jis dam
kam se kam itnā to ham āñkhoñ meñ dam rakhte haiñ
ho na jaa.e kahīñ nārāz mirā va.ada-shikan
'fauziya' is ke liye sar ko bhī ḳham rakhte haiñ
wasta hum se to pahle hi wo kam rakhte hain
wo hamin hain jo mohabbat ka bharam rakhte hain
khol den bhed hamare na kisi din aankhen
is liye jaan ke hum aankhon ko nam rakhte hain
main ada-band nahin par ye suna hai main ne
wo ada KHas hai jo mere sanam rakhte hain
banTte rahte hain muskanen hum apni sab mein
aur chhupa kar dil-e-hamdard mein gham rakhte hain
dekh lete hain bula kar unhen chahen jis dam
kam se kam itna to hum aankhon mein dam rakhte hain
ho na jae kahin naraaz mera wada-shikan
'fauziya' is ke liye sar ko bhi KHam rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.