waz mein jab nahin asar waiz
va.az meñ jab nahīñ asar vaa.iz
kyoñ phirātā hai apnā sar vaa.iz
tark-e-ulfat kī khā.ūñgā maiñ qasam
is ghaḌī dhyān hai kidhar vaa.iz
manā rone se kyā karegā mujhe
ab to hai ḳhud hī chashm-tar vaa.iz
phir tarīq-e-vafā se bahkānā
koī dam aur kar safar vaa.iz
chashm-e-jallād ham ne dekhī hai
is nazar se na dekh idhar vaa.iz
jāntā thā ye kuchh sunegā nahīñ
hañs paḌā mujh ko dekh kar vaa.iz
fasl-e-gul dekhte hī sūjhī aur
aa gayā apne rang par vaa.iz
yaad kis kis tarah ke jumle haiñ
apne fan meñ hai ḳhuub har vaa.iz
waz mein jab nahin asar waiz
kyon phiraata hai apna sar waiz
tark-e-ulfat ki khaunga main qasam
is ghaDi dhyan hai kidhar waiz
mana rone se kya karega mujhe
ab to hai KHud hi chashm-tar waiz
phir tariq-e-wafa se bahkana
koi dam aur kar safar waiz
chashm-e-jallad hum ne dekhi hai
is nazar se na dekh idhar waiz
jaanta tha ye kuchh sunega nahin
hans paDa mujh ko dekh kar waiz
fasl-e-gul dekhte hi sujhi aur
aa gaya apne rang par waiz
yaad kis kis tarah ke jumle hain
apne fan mein hai KHub har waiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.