wazeh nahin jazbaat jo masum hamare
vāzeh nahīñ jazbāt jo mā'sūm hamāre
alfāz kitāboñ ke haiñ mafhūm hamāre
is fikr meñ ik roz uThā.egā unheñ rab
bechain haiñ qabroñ meñ bhī marhūm hamāre
vo zulm ke hamrāh haiñ ham sabr ke sāthī
zālim haiñ agar un ke to mazlūm hamāre
ham ḳhud hī ḳharīdār dukāneñ bhī hamārī
milte nahīñ lekin kahīñ showrōm hamāre
kuchh svarg ke vaasī haiñ to kuchh ḳhuld ke haqdār
jaate haiñ kidhar dekhiye marhūm hamāre
mī'ād mu’ayyan hai har ik kaam kī lekin
kuchh log nahīñ hote haiñ manzūm hamāre
mehnat hai kisī aur kī hai mauj kisī kī
is sach se abhī log haiñ mahrūm hamāre
vo pahle zarā fikr kī gahrā.ī meñ utreñ
ash'ār jinheñ lagte haiñ mauhūm hamāre
is 'ālam-e-suġhrā meñ bahut jaan hai 'rāhib'
haiñ ‘ālam-e-lāhūt meñ mā'dūm hamāre
wazeh nahin jazbaat jo ma'sum hamare
alfaz kitabon ke hain mafhum hamare
is fikr mein ek roz uThaega unhen rab
bechain hain qabron mein bhi marhum hamare
wo zulm ke hamrah hain hum sabr ke sathi
zalim hain agar un ke to mazlum hamare
hum KHud hi KHaridar dukanen bhi hamari
milte nahin lekin kahin showroom hamare
kuchh swarg ke wasi hain to kuchh KHuld ke haqdar
jate hain kidhar dekhiye marhum hamare
mi'ad mu’ayyan hai har ek kaam ki lekin
kuchh log nahin hote hain manzum hamare
mehnat hai kisi aur ki hai mauj kisi ki
is sach se abhi log hain mahrum hamare
wo pahle zara fikr ki gahrai mein utren
ash'ar jinhen lagte hain mauhum hamare
is 'alam-e-sughra mein bahut jaan hai 'rahib'
hain ‘alam-e-lahut mein ma'dum hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.