wabaal-e-jaan hue wo sare gulsitan ke liye
vabāl-e-jāñ hue vo saare gulsitāñ ke liye
chune the ham ne jo kuchh tinke āshiyāñ ke liye
qadam qadam pe rah-e-ishq meñ thī hairānī
azaab dil pe na jaane kahāñ kahāñ ke liye
falak ke jaur kabhī aur un ke zulm kabhī
hazār ġham haiñ mohabbat meñ ek jaañ ke liye
ḳharāb-e-ishq banā kar tabāh kar Daalā
sitam na rah gayā jab koī āsmāñ ke liye
vo raaz jis pe mohabbat kā hai madār ai dost
hamāre dil ke liye hai tirī zabāñ ke liye
jhuke vo ġhair ke dar par bhalā ye kab mumkin
jabīñ jo vaqf rahī tere āstāñ ke liye
mizāj-e-dost meñ 'jauhar' na inqalāb aaya
ravā rahe haiñ sitam mujh se be-zabāñ ke liye
wabaal-e-jaan hue wo sare gulsitan ke liye
chune the hum ne jo kuchh tinke aashiyan ke liye
qadam qadam pe rah-e-ishq mein thi hairani
azab dil pe na jaane kahan kahan ke liye
falak ke jaur kabhi aur un ke zulm kabhi
hazar gham hain mohabbat mein ek jaan ke liye
KHarab-e-ishq bana kar tabah kar Dala
sitam na rah gaya jab koi aasman ke liye
wo raaz jis pe mohabbat ka hai madar ai dost
hamare dil ke liye hai teri zaban ke liye
jhuke wo ghair ke dar par bhala ye kab mumkin
jabin jo waqf rahi tere aastan ke liye
mizaj-e-dost mein 'jauhar' na inqalab aaya
rawa rahe hain sitam mujh se be-zaban ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.