wabaal mere mahalle ko nam hai tera
vabāl mere mahalle ko naam hai terā
ki zikr ghar meñ mire sub.h-o-shām hai terā
ye dekh aaj zamāna hai toḌtā mujh ko
na yaad hogā tujhe par ye kaam hai terā
maiñ sochtā thā tū anmol hai magar jānāñ
makān gaaḌī bharī-jeb daam hai terā
nikāl saktā nahīñ chaah kar bhī dil se tujhe
ki ek khaa.ī meñ dil kā maqām hai terā
tū jaise chāhe nachā.e hai iḳhtiyār tujhe
'azīz' kahte haiñ jis ko ġhulām hai terā
wabaal mere mahalle ko nam hai tera
ki zikr ghar mein mere subh-o-sham hai tera
ye dekh aaj zamana hai toDta mujh ko
na yaad hoga tujhe par ye kaam hai tera
main sochta tha tu anmol hai magar jaanan
makan gaDi bhari-jeb dam hai tera
nikal sakta nahin chah kar bhi dil se tujhe
ki ek khai mein dil ka maqam hai tera
tu jaise chahe nachae hai iKHtiyar tujhe
'aziz' kahte hain jis ko ghulam hai tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.