wafa chahta tha jafa chahta hun
vafā chāhtā thā jafā chāhtā huuñ
maiñ kyā chāhtā thā maiñ kyā chāhtā huuñ
vafūr-e-alam se hai ye haal merā
abhī ashk ban kar bahā chāhtā huuñ
nahīñ mujh ko ma.alūm ḳhud apnī ḳhvāhish
tumheñ kyā batā.ūñ maiñ kyā chāhtā huuñ
mujhe jā-ba-jā apne jalve dikhāo
tumheñ har jagah dekhnā chāhtā huuñ
koī merī is sāda-lauhī ko dekhe
ġham-e-ishq kī maiñ davā chāhtā huuñ
mile haiñ zamāne ke sab aish mujh ko
ḳhudā jaane maiñ aur kyā chāhtā huuñ
baḌhā jā rahā huuñ kahāñ se kahāñ tak
ḳhudā-e-do-ālam huā chāhtā huuñ
bahar-hāl maiñ shukr kartā huuñ terā
bahar-hāl terī razā chāhtā huuñ
tumhīñ se thā jab merā har ḳhvāb rangīñ
vahī ishq kī ibtidā chāhtā huuñ
ġham-e-ishq hī hai mirī shart-e-hastī
ġham-e-ishq had se sivā chāhtā huuñ
na hai dard-e-dil kī davā koī 'shaidā'
na maiñ dard-e-dil kī davā chāhtā huuñ
wafa chahta tha jafa chahta hun
main kya chahta tha main kya chahta hun
wafur-e-alam se hai ye haal mera
abhi ashk ban kar baha chahta hun
nahin mujh ko malum KHud apni KHwahish
tumhein kya bataun main kya chahta hun
mujhe ja-ba-ja apne jalwe dikhao
tumhein har jagah dekhna chahta hun
koi meri is sada-lauhi ko dekhe
gham-e-ishq ki main dawa chahta hun
mile hain zamane ke sab aish mujh ko
KHuda jaane main aur kya chahta hun
baDha ja raha hun kahan se kahan tak
KHuda-e-do-alam hua chahta hun
bahar-haal main shukr karta hun tera
bahar-haal teri raza chahta hun
tumhin se tha jab mera har KHwab rangin
wahi ishq ki ibtida chahta hun
gham-e-ishq hi hai meri shart-e-hasti
gham-e-ishq had se siwa chahta hun
na hai dard-e-dil ki dawa koi 'shaida'
na main dard-e-dil ki dawa chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.