wafa jab zinda hoti hai jafa dam toD deti hai
wafa jab zinda hoti hai jafa dam toD deti hai
Imrana Mushtaq Mani
MORE BYImrana Mushtaq Mani
vafā jab zinda hotī hai jafā dam toḌ detī hai
sitamgar kī har ik zālim adā dam toḌ detī hai
takabbur kī fasīloñ se kabhī ham ruk nahīñ sakte
ki bach ke rū-ba-rū jhūTī anā dam toḌ detī hai
agar mazlūm Takrāte haiñ dīvār-e-mazālim se
to gir jaatā hai zindāñ aur sirā dam toḌ detī hai
subūt-e-be-gunāhī kyuuñ na ho merī gunahgārī
atā kartā hai jab koī ḳhatā dam toḌ detī hai
chaman kī ābiyārī ḳhuun se kartī raho 'mānī'
chaman ke ḳhushk hone se sabā dam toḌ detī hai
wafa jab zinda hoti hai jafa dam toD deti hai
sitamgar ki har ek zalim ada dam toD deti hai
takabbur ki fasilon se kabhi hum ruk nahin sakte
ki bach ke ru-ba-ru jhuTi ana dam toD deti hai
agar mazlum Takraate hain diwar-e-mazalim se
to gir jata hai zindan aur sira dam toD deti hai
subut-e-be-gunahi kyun na ho meri gunahgari
ata karta hai jab koi KHata dam toD deti hai
chaman ki aabiyari KHun se karti raho 'mani'
chaman ke KHushk hone se saba dam toD deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.