wafa ka daur hai jab se zawal-amada
vafā kā daur hai jab se zavāl-āmāda
ye dil huā hai ziyāda visāl-āmāda
ajiib rut meñ guloñ par bahār aa.ī hai
parind-e-shauq ki hai intiqāl-āmāda
baḌī latīf thī vo baat jis ke sunñe se
lahū badan meñ huā hai ubāl-āmāda
koī suḳhan koī koshish bhī kārgar na huī
mizāj-e-yār bahut hai malāl-āmāda
guzar na jaa.eñ inheñ rok lo ki ab bhī haiñ
rafāqatoñ ke liye māh-o-sāl āmāda
wafa ka daur hai jab se zawal-amada
ye dil hua hai ziyaada visal-amada
ajib rut mein gulon par bahaar aai hai
parind-e-shauq ki hai intiqal-amada
baDi latif thi wo baat jis ke sunne se
lahu badan mein hua hai ubaal-amada
koi suKHan koi koshish bhi kargar na hui
mizaj-e-yar bahut hai malal-amada
guzar na jaen inhen rok lo ki ab bhi hain
rafaqaton ke liye mah-o-sal aamada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.