wafa ka ek bhi pyala nahin chhoDa
vafā kā ek bhī pyāla nahīñ chhoḌā
maiñ us ke kūche meñ jaanā nahīñ chhoḌā
maiñ puure baag ko ḳhush karne aaya thā
magar ik phuul ne pīchhā nahīñ chhoḌā
nahīñ ab aur kuchh bhī chhoḌ saktā maiñ
tumhāre vāste kyā kyā nahīñ chhoḌā
faqat dil TūTne se maiñ marā na.ī huuñ
ye chārasāzoñ ne zinda nahīñ chhoḌā
kahā us ne kalī ko phuul hone do
magar mujh bhauñre ne pīchhā nahīñ chhoḌā
wafa ka ek bhi pyala nahin chhoDa
main us ke kuche mein jaana nahin chhoDa
main pure bag ko KHush karne aaya tha
magar ek phul ne pichha nahin chhoDa
nahin ab aur kuchh bhi chhoD sakta main
tumhaare waste kya kya nahin chhoDa
faqat dil TuTne se main mara nai hun
ye chaarasazon ne zinda nahin chhoDa
kaha us ne kali ko phul hone do
magar mujh bhaunre ne pichha nahin chhoDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.