wafa ka git labon par mere saja bhi diya
vafā kā giit laboñ par mire sajā bhī diyā
harīm-e-dil pe nayā gul yuuñ ik khilā bhī diyā
sazā.eñ ham ne jo paa.ī haiñ is mohabbat meñ
gila kiyā bhī nahīñ aur sab bhulā bhī diyā
qarār de ke kiyā us ne be-qarār hameñ
charāġh dil meñ vafā kā jalā bujhā bhī diyā
tabīb ban ke davā dard kī vo de na sakā
salīqe se vo hameñ zahr-e-ġham pilā bhī diyā
jo sang-dil ho nahīñ pyaar se kabhī tafta
qabā-e-mom the ham aur hameñ jalā bhī diyā
wafa ka git labon par mere saja bhi diya
harim-e-dil pe naya gul yun ek khila bhi diya
sazaen hum ne jo pai hain is mohabbat mein
gila kiya bhi nahin aur sab bhula bhi diya
qarar de ke kiya us ne be-qarar hamein
charagh dil mein wafa ka jala bujha bhi diya
tabib ban ke dawa dard ki wo de na saka
saliqe se wo hamein zahr-e-gham pila bhi diya
jo sang-dil ho nahin pyar se kabhi tafta
qaba-e-mom the hum aur hamein jala bhi diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.