wafa ka imtihan hai jaan-o-tan ki aazmaish hai
vafā kā imtihāñ hai jān-o-tan kī āzmā.ish hai
ḳhudā rakkhe ḳhudī ke bāñkpan kī āzmā.ish hai
ba-tarz-e-nau sajā.ī jā rahī hai bazm-e-parvezī
ba-andāz-e-digar phir kohkan kī āzmā.ish hai
lab-e-jū sāqiyā yuuñ hī musalsal daur-e-paimāna
ki zor-e-gardish-e-charḳh-e-kuhan kī āzmā.ish hai
ḳhizāñ kā zikr kyā vo daur thā nā-sāz-gārī kā
bahār aa.ī hai ab ahl-e-chaman kī āzmā.ish hai
mirī dīvāngī kā imtihāñ ik baat hai varna
haqīqat meñ tire dār-o-rasan kī āzmā.ish hai
tavāf-e-kirmak-e-nādāñ kā chakkar ḳhatm hai 'āsif'
bas ab zarf-e-charāġh-e-anjuman kī āzmā.ish hai
wafa ka imtihan hai jaan-o-tan ki aazmaish hai
KHuda rakkhe KHudi ke bankpan ki aazmaish hai
ba-tarz-e-nau sajai ja rahi hai bazm-e-parwezi
ba-andaz-e-digar phir kohkan ki aazmaish hai
lab-e-ju saqiya yun hi musalsal daur-e-paimana
ki zor-e-gardish-e-charKH-e-kuhan ki aazmaish hai
KHizan ka zikr kya wo daur tha na-saz-gari ka
bahaar aai hai ab ahl-e-chaman ki aazmaish hai
meri diwangi ka imtihan ek baat hai warna
haqiqat mein tere dar-o-rasan ki aazmaish hai
tawaf-e-kirmak-e-nadan ka chakkar KHatm hai 'asif'
bas ab zarf-e-charagh-e-anjuman ki aazmaish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.