wafa ka rang jo gahra dikhai deta hai
vafā kā rang jo gahrā dikhā.ī detā hai
lahū kuchh us meñ hamārā dikhā.ī detā hai
hamārā ġham se ta.alluq bahut purānā hai
hamārā dard se rishta dikhā.ī detā hai
ġhazal ho dār-o-rasan ho ki bazm-e-ḳhūbāñ ho
har ik jagah vahī chehra dikhā.ī detā hai
kisī zamāne meñ yāroñ kā yaar thā vo bhī
vo ek shaḳhs jo tanhā dikhā.ī detā hai
chale the tez bahut ab ye haal hai 'rahmat'
na manzileñ haiñ na jaada dikhā.ī detā hai
wafa ka rang jo gahra dikhai deta hai
lahu kuchh us mein hamara dikhai deta hai
hamara gham se talluq bahut purana hai
hamara dard se rishta dikhai deta hai
ghazal ho dar-o-rasan ho ki bazm-e-KHuban ho
har ek jagah wahi chehra dikhai deta hai
kisi zamane mein yaron ka yar tha wo bhi
wo ek shaKHs jo tanha dikhai deta hai
chale the tez bahut ab ye haal hai 'rahmat'
na manzilen hain na jada dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.