wafa ka zikr hi kya hai jafa bhi ras aae
vafā kā zikr hī kyā hai jafā bhī raas aa.e
vo muskurā.e to jurm-e-ḳhatā bhī raas aa.e
vatan meñ rahte haiñ ham ye sharaf hī kyā kam hai
ye kyā zarūr ki āb-o-havā bhī raas aa.e
hatheliyāñ haiñ tirī lauh-e-nūr kī mānind
ḳhudā kare tujhe rañg-e-hinā bhī raas aa.e
davā to ḳhair hazāroñ ko raas aa.egī
maza to jiine kā jab hai shifā bhī raas aa.e
to phir ye aadmī ḳhud ko ḳhudā samajhne lage
agar ye umr-e-gurezāñ zarā bhī raas aa.e
ab is qadar bhī na kar justajū-e-āb-e-baqā
gul-e-hunar hai to bād-e-fanā bhī raas aa.e
ye terā rañg-e-suḳhan terā bāñkpan ai 'shāz'
ki sher raas to aa.e anā bhī raas aa.e
wafa ka zikr hi kya hai jafa bhi ras aae
wo muskurae to jurm-e-KHata bhi ras aae
watan mein rahte hain hum ye sharaf hi kya kam hai
ye kya zarur ki aab-o-hawa bhi ras aae
hatheliyan hain teri lauh-e-nur ki manind
KHuda kare tujhe rang-e-hina bhi ras aae
dawa to KHair hazaron ko ras aaegi
maza to jine ka jab hai shifa bhi ras aae
to phir ye aadmi KHud ko KHuda samajhne lage
agar ye umr-e-gurezan zara bhi ras aae
ab is qadar bhi na kar justaju-e-ab-e-baqa
gul-e-hunar hai to baad-e-fana bhi ras aae
ye tera rang-e-suKHan tera bankpan ai 'shaz'
ki sher ras to aae ana bhi ras aae
- Book : Kulliyat-e-Shaz Tamkanat (Pg. 562)
- Author : Shaz Tamkanat
- Publication : Educational Publishing House (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.