wafa ka zikr ho be-mehri-e-butan ki tarah
vafā kā zikr ho be-mehrī-e-butāñ kī tarah
yahāñ ḳhulūs bhī arzāñ hai naqd-e-jāñ kī tarah
kabhī jo hāl-e-dil-e-ḳhūñ-chakāñ kā zikr chale
sunā.iye unheñ rūdād-e-dīgarāñ kī tarah
saroñ ke chāñd farozāñ haiñ rāh-e-ulfat meñ
chamak rahī hai zamīñ aaj kahkashāñ kī tarah
kisī masīh ke qadmoñ kī āhaTeñ sun kar
salīb jhuum uThī shāḳh-e-āshiyāñ kī tarah
kahāñ se lā.iye rānā.ī-e-ḳhayāl 'shamīm'
subū-e-dil bhī hai ḳhālī subū-e-jāñ kī tarah
wafa ka zikr ho be-mehri-e-butan ki tarah
yahan KHulus bhi arzan hai naqd-e-jaan ki tarah
kabhi jo haal-e-dil-e-KHun-chakan ka zikr chale
sunaiye unhen rudad-e-digaran ki tarah
saron ke chand farozan hain rah-e-ulfat mein
chamak rahi hai zamin aaj kahkashan ki tarah
kisi masih ke qadmon ki aahaTen sun kar
salib jhum uThi shaKH-e-ashiyan ki tarah
kahan se laiye ranai-e-KHayal 'shamim'
subu-e-dil bhi hai KHali subu-e-jaan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.