wafa kam hai nazar aati bahut hai
vafā kam hai nazar aatī bahut hai
baḌe shahroñ meñ dānā.ī bahut hai
hamāre paañv meñ patthar bañdhe haiñ
tirī āñkhoñ meñ gahrā.ī bahut hai
banāne ko himāla nafratoñ ke
ġhalat-fahmī kī ik raa.ī bahut hai
nazar meñ kis kī hai pākīzgī ab
ki is tālāb meñ kaa.ī bahut hai
hamārā saath rahnā bhī hai mushkil
bichhaḌne meñ bhī rusvā.ī bahut hai
sabhī kī zindagī hai apnī apnī
bhare ghar meñ bhī tanhā.ī bahut hai
adab meñ zindagī paane ko 'alvī'
faqat lahje meñ sachchā.ī bahut hai
wafa kam hai nazar aati bahut hai
baDe shahron mein danai bahut hai
hamare panw mein patthar bandhe hain
teri aankhon mein gahrai bahut hai
banane ko himala nafraton ke
ghalat-fahmi ki ek rai bahut hai
nazar mein kis ki hai pakizgi ab
ki is talab mein kai bahut hai
hamara sath rahna bhi hai mushkil
bichhaDne mein bhi ruswai bahut hai
sabhi ki zindagi hai apni apni
bhare ghar mein bhi tanhai bahut hai
adab mein zindagi pane ko 'alwi'
faqat lahje mein sachchai bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.