wafa kar magar ustuwari na rakh
vafā kar magar ustuvārī na rakh
koī bojh siine pe bhārī na rakh
mohabbat ke badle mohabbat na maañg
ki ye silsila kārobārī na rakh
kisī aur hiile se kar mustafīz
faqat rasm-e-bāda-gusārī na rakh
tū aayā hai to harf-e-matlab pe aa
zabāñ par bahut ḳhāksārī na rakh
salāmat nahīñ sar to dastār kyā
bahut ūñchī apnī aTārī na rakh
haqīqat tujhe maar Dālegī sun
'mujībī' bahut jānkārī na rakh
wafa kar magar ustuwari na rakh
koi bojh sine pe bhaari na rakh
mohabbat ke badle mohabbat na mang
ki ye silsila karobari na rakh
kisi aur hile se kar mustafiz
faqat rasm-e-baada-gusari na rakh
tu aaya hai to harf-e-matlab pe aa
zaban par bahut KHaksari na rakh
salamat nahin sar to dastar kya
bahut unchi apni aTari na rakh
haqiqat tujhe mar Dalegi sun
'mujibi' bahut jaankari na rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.