wafa kar raha hun jafa chahta hun
vafā kar rahā huuñ jafā chāhtā huuñ
ḳhatā kar rahā huuñ sazā chāhtā huuñ
mohabbat kā ye bhī koī marhala hai
ki maiñ nāla-e-nā-rasā chāhtā huuñ
nigāhoñ kī iffat diloñ kī tahārat
maiñ sar se qadam tak hayā chāhtā huuñ
taraddud tavahhum kī zulmat miTā kar
maiñ ilm-o-yaqīñ kī ziyā chāhtā huuñ
maiñ aḳhlāq-o-kirdār-o-rūhāniyat meñ
tanazzul nahīñ irtiqā chāhtā huuñ
ḳhudā kī sharī.at ho nāfiz zamīñ par
maiñ insāniyat kī baqā chāhtā huuñ
hai jannat to terī razā kī alāmat
ilāhī maiñ terī razā chāhtā huuñ
'urūj' un kā paiġhām pahuñchā to mujh tak
magar maiñ kuchh is se sivā chāhtā huuñ
wafa kar raha hun jafa chahta hun
KHata kar raha hun saza chahta hun
mohabbat ka ye bhi koi marhala hai
ki main nala-e-na-rasa chahta hun
nigahon ki iffat dilon ki tahaarat
main sar se qadam tak haya chahta hun
taraddud tawahhum ki zulmat miTa kar
main ilm-o-yaqin ki ziya chahta hun
main aKHlaq-o-kirdar-o-ruhaniyat mein
tanazzul nahin irtiqa chahta hun
KHuda ki shariat ho nafiz zamin par
main insaniyat ki baqa chahta hun
hai jannat to teri raza ki alamat
ilahi main teri raza chahta hun
'uruj' un ka paigham pahuncha to mujh tak
magar main kuchh is se siwa chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.