wafa karna hamein khalta raha hai
vafā karnā hameñ khaltā rahā hai
mohabbat meñ ye dil jaltā rahā hai
ġhamoñ kī āñdhiyāñ sahte rahe haiñ
jafā kā silsila chaltā rahā hai
ḳhatā karnā hameñ manzūr kab thā
ḳhatā-varoñ ko ye khaltā rahā hai
nikal aa.e har ik janjāl se ham
zamāna haath ko maltā rahā hai
huī jis par buzurgoñ kī 'ināyat
haqīqī raah par chaltā rahā hai
ghaTā kar sāñseñ detā hai nayā din
samay har shaḳhs ko chhaltā rahā hai
tarāsho zehn ko din raat apne
badan kā husn to Dhaltā rahā hai
use paane kī koshish meñ lage haiñ
jigar meñ ḳhvāb jo paltā rahā hai
wafa karna hamein khalta raha hai
mohabbat mein ye dil jalta raha hai
ghamon ki aandhiyan sahte rahe hain
jafa ka silsila chalta raha hai
KHata karna hamein manzur kab tha
KHata-waron ko ye khalta raha hai
nikal aae har ek janjal se hum
zamana hath ko malta raha hai
hui jis par buzurgon ki 'inayat
haqiqi rah par chalta raha hai
ghaTa kar sansen deta hai naya din
samay har shaKHs ko chhalta raha hai
tarasho zehn ko din raat apne
badan ka husn to Dhalta raha hai
use pane ki koshish mein lage hain
jigar mein KHwab jo palta raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.