Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wafa karne aae jafa kar chale

Hamid Azimabadi

wafa karne aae jafa kar chale

Hamid Azimabadi

MORE BYHamid Azimabadi

    vafā karne aa.e jafā kar chale

    hameñ ḳhaak meñ vo milā kar chale

    ye kyā tum ko sūjhī ye kyā kar chale

    ki chitvan se bismil banā kar chale

    mujhe qatl teġh-e-jafā kar chale

    ye kyā kar chale tum ye kyā kar chale

    milā.ī kabhī tum ne jis se nigāh

    use apnā shaidā banā kar chale

    tirī raah meñ misl-e-naqsh-e-qadam

    ham apne ko kyā kyā miTā kar chale

    idhar aao baiTho bhī āġhosh meñ

    kahāñ mujh se āñkheñ churā kar chale

    tumheñ paas agar baiThnā na thā

    to kyoñ ham se tum dil lagā kar chale

    zabāñ par na laanā thā harf-e-gila

    tirī bazm se muñh khā kar chale

    azal tumheñ qaul hai yaad bhī

    ki aa.e the kyā kah ke kyā kar chale

    uThā kar hameñ ne rusvā kiyā

    sazā dil lagāne kar chale

    miTe saikḌoñ kūcha-e-ishq meñ

    na kambaḳht dil sar uThā kar chale

    vo baiThe to baiThe mire dil pe tiir

    chale to qayāmat bapā kar chale

    mujhe rote meñ aa ke ba.ad-e-fanā

    vo mayyat par aañsū bahā kar chale

    vo Thukrā ga.e merī turbat ko kyā

    ki fitne hazāroñ jagā kar chale

    huā un ke aage jo 'hāmid' zikr

    to kis naaz se muskurā kar chale

    wafa karne aae jafa kar chale

    hamein KHak mein wo mila kar chale

    ye kya tum ko sujhi ye kya kar chale

    ki chitwan se bismil bana kar chale

    mujhe qatl tegh-e-jafa kar chale

    ye kya kar chale tum ye kya kar chale

    milai kabhi tum ne jis se nigah

    use apna shaida bana kar chale

    teri rah mein misl-e-naqsh-e-qadam

    hum apne ko kya kya miTa kar chale

    idhar aao baiTho bhi aaghosh mein

    kahan mujh se aankhen chura kar chale

    tumhein pas agar baiThna hi na tha

    to kyon hum se tum dil laga kar chale

    zaban par na lana tha harf-e-gila

    teri bazm se munh ki kha kar chale

    azal ka tumhein qaul hai yaad bhi

    ki aae the kya kah ke kya kar chale

    uTha kar hamein tu ne ruswa kiya

    saza dil lagane ki pa kar chale

    miTe saikDon kucha-e-ishq mein

    na kambaKHt dil sar uTha kar chale

    wo baiThe to baiThe mere dil pe tir

    chale to qayamat bapa kar chale

    mujhe rote mein aa ke baad-e-fana

    wo mayyat par aansu baha kar chale

    wo Thukra gae meri turbat ko kya

    ki fitne hazaron jaga kar chale

    hua un ke aage jo 'hamid' ka zikr

    to kis naz se muskura kar chale

    Source :

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now