wafa karte use dekha nahin hai
vafā karte use dekhā nahīñ hai
magar vo bevafā lagtā nahīñ hai
dil-e-barbād tujh ko kyā huā hai
sarā.e meñ koī bastā nahīñ hai
use patthar banā detī hai duniyā
jo dariyā hai magar bahtā nahīñ hai
ye duniyā phir numāyāñ ho rahī hai
añdherā umr bhar rahtā nahīñ hai
mirā hamdard hai ā.īna 'nāzim'
maiñ rotā huuñ to ye hañstā nahīñ hai
wafa karte use dekha nahin hai
magar wo bewafa lagta nahin hai
dil-e-barbaad tujh ko kya hua hai
sarae mein koi basta nahin hai
use patthar bana deti hai duniya
jo dariya hai magar bahta nahin hai
ye duniya phir numayan ho rahi hai
andhera umr bhar rahta nahin hai
mera hamdard hai aaina 'nazim'
main rota hun to ye hansta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.