wafa ke badle tumhaara itab kaisa hai
vafā ke badle tumhārā itaab kaisā hai
mohabbatoñ kā mirī ye javāb kaisā hai
thā aaj sañg-e-muqaddar mire liye lekin
tumhāre haath meñ taaza gulāb kaisā hai
vo qatl karte haiñ ham aah bhī nahīñ karte
sitamgaroñ ko hamārā javāb kaisā hai
amīr-e-shahr se kah do ġharīb-e-shahr koī
fasīl-e-shahr tale mahv-e-ḳhvāb kaisā hai
agar hayāt hai naġhma to phir batā.e koī
ye kulfatoñ kā musalsal 'azāb kaisā hai
na buuñd hī koī barsī na barq hī chamkī
hamāre shahr pe chhāyā sahāb kaisā hai
wafa ke badle tumhaara itab kaisa hai
mohabbaton ka meri ye jawab kaisa hai
tha aaj sang-e-muqaddar mere liye lekin
tumhaare hath mein taza gulab kaisa hai
wo qatl karte hain hum aah bhi nahin karte
sitamgaron ko hamara jawab kaisa hai
amir-e-shahr se kah do gharib-e-shahr koi
fasil-e-shahr tale mahw-e-KHwab kaisa hai
agar hayat hai naghma to phir batae koi
ye kulfaton ka musalsal 'azab kaisa hai
na bund hi koi barsi na barq hi chamki
hamare shahr pe chhaya sahab kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.