wafa ke dawon pe hans raha tha
vafā ke da.avoñ pe hañs rahā thā
mujhe nayā hijr ho gayā thā
bahut hī bad-shakl niklī duniyā
maiñ pahle parde pe dekhtā thā
use batātā thā merī bāteñ
ḳhudā mirī kaal sun rahā thā
samajh meñ kyā aatā merā lahja
kisī kī bātoñ meñ aa gayā thā
utaar pheñkī thī shaam sar se
abhī to paarā nahīñ chaḌhā thā
tum aaj tak ro rahe ho jo ġham
vo do dinoñ se ziyāda kā thā
ġharīb beva kā haath thāmā
madīne jaane kā rāsta thā
aur us kī haryānvī zabāñ thī
aur us ke hāthoñ meñ ik ghaḌā thā
ye jumla jo pahle kah diyā hai
ye vasl ke ain baad kā thā
wafa ke dawon pe hans raha tha
mujhe naya hijr ho gaya tha
bahut hi bad-shakl nikli duniya
main pahle parde pe dekhta tha
use batata tha meri baaten
KHuda meri kal sun raha tha
samajh mein kya aata mera lahja
kisi ki baaton mein aa gaya tha
utar phenki thi sham sar se
abhi to para nahin chaDha tha
tum aaj tak ro rahe ho jo gham
wo do dinon se ziyaada ka tha
gharib bewa ka hath thama
madine jaane ka rasta tha
aur us ki haryanwi zaban thi
aur us ke hathon mein ek ghaDa tha
ye jumla jo pahle kah diya hai
ye wasl ke ain baad ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.