wafa ke jurm mein aksar pukare jate hain
vafā ke jurm meñ aksar pukāre jaate haiñ
ham ahl-e-ishq mohabbat meñ maare jaate haiñ
hamārī laash to girtī hai jañg laḌte hue
magar jo piiTh pe barchhe utāre jaate haiñ
amāma sajtā hai āḳhir amīr-e-shahr ke sar
hamāre jaise aqīdat meñ vaare jaate haiñ
maiñ rok saktā nahīñ ḳhaak ko bikharne se
samundaroñ kī taraf chal ke dhāre jaate haiñ
bhale ho kār-e-mohabbat yā kār-e-duniyā 'zubair'
hamāre saath hamesha ḳhasāre jaate haiñ
wafa ke jurm mein aksar pukare jate hain
hum ahl-e-ishq mohabbat mein mare jate hain
hamari lash to girti hai jang laDte hue
magar jo piTh pe barchhe utare jate hain
amama sajta hai aaKHir amir-e-shahr ke sar
hamare jaise aqidat mein ware jate hain
main rok sakta nahin KHak ko bikharne se
samundaron ki taraf chal ke dhaare jate hain
bhale ho kar-e-mohabbat ya kar-e-duniya 'zubair'
hamare sath hamesha KHasare jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.