wafa ke lutf mohabbat ke KHwab mange hai
wafa ke lutf mohabbat ke KHwab mange hai
Uma Shankar Shadan Gwaliori
MORE BYUma Shankar Shadan Gwaliori
vafā ke lutf mohabbat ke ḳhvāb māñge hai
ajiib baat hai saaqī sharāb māñge hai
hameñ satā.e ye duniyā to koī baat nahīñ
hamārī baat kā duniyā javāb māñge hai
nizām-e-kārgah-e-zindagī ma.āz-allāh
hisāb māñge hai aur be-hisāb māñge hai
vo chāhtā hai ki vo lafz maiñ bayāñ kar duuñ
fasāna-e-ġham-e-māzī kitāb māñge hai
ye zarf-e-kam-nigahī aur ye zo'm-e-dīda-varī
zamāna aaj tumheñ be-naqāb māñge hai
ġharīb baap kī bāñhoñ meñ kheltā bachcha
kabhī sitāre kabhī āftāb māñge hai
kise kise ġham-e-manzil sunā.iye 'shādāñ'
har ek raah kā patthar hisāb māñge hai
wafa ke lutf mohabbat ke KHwab mange hai
ajib baat hai saqi sharab mange hai
hamein satae ye duniya to koi baat nahin
hamari baat ka duniya jawab mange hai
nizam-e-kargah-e-zindagi maaz-allah
hisab mange hai aur be-hisab mange hai
wo chahta hai ki wo lafz main bayan kar dun
fasana-e-gham-e-mazi kitab mange hai
ye zarf-e-kam-nigahi aur ye zo'm-e-dida-wari
zamana aaj tumhein be-naqab mange hai
gharib bap ki banhon mein khelta bachcha
kabhi sitare kabhi aaftab mange hai
kise kise gham-e-manzil sunaiye 'shadan'
har ek rah ka patthar hisab mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.