wafa ke sath mohabbat mein nam paida kar
vafā ke saath mohabbat meñ naam paidā kar
yūñhī jahāñ meñ qayām-e-davām paidā kar
tire liye nahīñ kaunain meñ jo gunjā.ish
kisī ke dil hī meñ jā-e-qayām paidā kar
ho jis tarah guzar āñdhī kī tarah manzil se
qadam baḌhā talab-e-tez-gām paidā kar
ye anjum-o-mah-o-ḳhurshīd ho chuke būḌhe
na.ī tajallī-e-bālā-e-bām paidā kar
na reñg mausamī kīḌoñ kī tarah pastī par
falak se bhī koī ūñchā maqām paidā kar
jis anjuman meñ guzar ho tirā mahak jaa.e
sabā kī tarah shagufta ḳhirām paidā kar
bahut udaas hai ab rañg-e-mahfil-e-hastī
jabīñ se sub.h to zulfoñ se shaam paidā kar
ho ek haath meñ shamshīr dūsre meñ qalam
unhī ke zor se duniyā meñ naam paidā kar
nigāh-e-mast se sāġhar bahut piye tū ne
ab aur hī koī 'maḳhmūr' jaam paidā kar
wafa ke sath mohabbat mein nam paida kar
yunhi jahan mein qayam-e-dawam paida kar
tere liye nahin kaunain mein jo gunjaish
kisi ke dil hi mein ja-e-qayam paida kar
ho jis tarah guzar aandhi ki tarah manzil se
qadam baDha talab-e-tez-gam paida kar
ye anjum-o-mah-o-KHurshid ho chuke buDhe
nai tajalli-e-baala-e-baam paida kar
na reng mausami kiDon ki tarah pasti par
falak se bhi koi uncha maqam paida kar
jis anjuman mein guzar ho tera mahak jae
saba ki tarah shagufta KHiram paida kar
bahut udas hai ab rang-e-mahfil-e-hasti
jabin se subh to zulfon se sham paida kar
ho ek hath mein shamshir dusre mein qalam
unhi ke zor se duniya mein nam paida kar
nigah-e-mast se saghar bahut piye tu ne
ab aur hi koi 'maKHmur' jam paida kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.