wafa ke shahr mein maqbul thi sada kitni
wafa ke shahr mein maqbul thi sada kitni
Satyapal Kaushik Suroor
MORE BYSatyapal Kaushik Suroor
vafā ke shahr meñ maqbūl thī sadā kitnī
magar na pahuñchī ye un tak thī nā-rasā kitnī
tamām umr jale ātish-e-nadāmat meñ
milī hai pyaar ke iz.hār kī sazā kitnī
nikal ke sehn-e-chaman se na phir kabhī palTī
hasīn phūloñ kī ḳhushbū thī bevafā kitnī
maiñ ban ke tez havā chal rahā huuñ muddat se
zarā nigāh to Daalo chhaTī ghaTā kitnī
vafā-parastoñ kī nagrī meñ nāravā hai jo
havas ke shahr meñ vo baat hai ravā kitnī
maiñ apnī ruuh kī āvāz sun sakā na 'surūr'
mire gunāhoñ kī pur-shor thī sadā kitnī
wafa ke shahr mein maqbul thi sada kitni
magar na pahunchi ye un tak thi na-rasa kitni
tamam umr jale aatish-e-nadamat mein
mili hai pyar ke izhaar ki saza kitni
nikal ke sehn-e-chaman se na phir kabhi palTi
hasin phulon ki KHushbu thi bewafa kitni
main ban ke tez hawa chal raha hun muddat se
zara nigah to Dalo chhaTi ghaTa kitni
wafa-paraston ki nagri mein narawa hai jo
hawas ke shahr mein wo baat hai rawa kitni
main apni ruh ki aawaz sun saka na 'surur'
mere gunahon ki pur-shor thi sada kitni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.