wafa ke wade hue zindagi ke KHwab hue
vafā ke va.ade hue zindagī ke ḳhvāb hue
tumhāre ahd-e-karam meñ sabhī ḳharāb hue
badal ga.iiñ vo fazā.eñ tire badalte hī
mahakte ḳhvāb sulagte hue sarāb hue
mirī hayāt kī tārīkiyāñ simaT na sakīñ
bajā ke maah hue aap āftāb hue
maiñ sochtā huuñ ki vo log jaane kyā hoñge
jinhoñ ne pyaar kiyā aur kāmyāb hue
hamāre mel meñ qudrat kā haath shāmil hai
chalo maiñ ḳhaar sahī aap agar gulāb hue
wafa ke wade hue zindagi ke KHwab hue
tumhaare ahd-e-karam mein sabhi KHarab hue
badal gain wo fazaen tere badalte hi
mahakte KHwab sulagte hue sarab hue
meri hayat ki tarikiyan simaT na sakin
baja ke mah hue aap aaftab hue
main sochta hun ki wo log jaane kya honge
jinhon ne pyar kiya aur kaamyab hue
hamare mel mein qudrat ka hath shamil hai
chalo main KHar sahi aap agar gulab hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.