wafa KHulus bahut KHud se dur rakhta hai
vafā ḳhulūs bahut ḳhud se duur rakhtā hai
jo sar meñ apne balā kā ġhurūr rakhtā hai
ḳhumār sar pe chaḌhā jis ke shohratoñ vaalā
tamām 'umr use be-shu'ūr rakhtā hai
usī ko miltī hai masnad yahāñ hukūmat meñ
jo lab pe apne faqat jī-huzūr rakhtā hai
'ajīb vaqt kā hākim hai jabr-o-zulm-pasand
vo jis ke sar pe bhī chāhe qusūr rakhtā hai
jo nīm-shab meñ tahajjud ke vāste uTTheñ
jabīñ pe un kī ḳhudā ḳhaas nuur rakhtā hai
wafa KHulus bahut KHud se dur rakhta hai
jo sar mein apne bala ka ghurur rakhta hai
KHumar sar pe chaDha jis ke shohraton wala
tamam 'umr use be-shu'ur rakhta hai
usi ko milti hai masnad yahan hukumat mein
jo lab pe apne faqat ji-huzur rakhta hai
'ajib waqt ka hakim hai jabr-o-zulm-pasand
wo jis ke sar pe bhi chahe qusur rakhta hai
jo nim-shab mein tahajjud ke waste uTThen
jabin pe un ki KHuda KHas nur rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.